Shri Saibaba stories hindi

Shri Saibaba stories Hindi 

Saibaba stories ke is post me mene aapke liye saibaba ki tin kahaniya batayi he, aapko saibaba ke janm ke baare me pata chalega, unke dincharya ke baare me pata chalega. Aasha he ki aapko acchese samajh me aayegi.

1. Sai baba ki dincharya (Saibaba stories)

       Saibaba ka rahan sahan atyant sadha aur saral tha. Unke paas saman ke taur par lota, chilam, satka aisi gini chuni chije thi. Lambe hatho vali kafani aur sirf ek kapda aisa sadharan poshakh ve pahante. Jyadatar bhagave rang ke kapde ve pahante, kabhi kabhi purn safed poshakh bhi pahante the. Jis masjid me baba rahate the vahapar unhone ek dhuni prajwalit ki thi. 

       Aaj bhi vo dhuni akhandit rakhi he. Is dhuni ko log bahut pavitra manate he. Us dhuni me jami hui rakh baba bimar aur dukhi logo ko dete the. Vo rakh laganese lakho logo ke sharirik tatha mansik dukh dur huye he. Baba ka vastavya kabhi mandir me, kabhi chavadi par, ya kabhi masjid me hota tha. Ek neem ke ped ke niche vo dhyaan lagate the. (Saibaba stories)

       Aaj bhi us ped ke patte baki neem ke ped ke patto se kam kadve lagte he. Saibaba apna bhojan khud nahi pakate the. Apne panch bhakto ke ghar ve roj bhiksha mangane jaate the. Bhiksha me paya gaya bhojan kai baar ve garibo me tatha masum janvaro me bant dete aur khud sirf pani pikar din gujarte the. Bhiksha ke kasht se baba ko bachane ke liye tatya patil ki maa baija bai ne swayam pakakar baba ko bhojan dena shuru kar diya.

       Baba kabhi ek jagah par nahi rukate the aur unhe dhundhane ke liye baija bai ko gav bhar bhatkna padta tha.  Jis madjid me baba rahate the use baba ne dwarkamai naam diya tha, vahipar ek sundar fulo ki baag sajayi thi. Baba ke darshan lene wale bhakt unhe uphar ke taur par paise dete the par baba ne kabhi unhe apne liye kharch nahi kiya. Aur vo un bhakto ko vo paise logo me batne ko kahate the, mandir ka jirnoddhar karo, tyahar manao, jis karan sabhi log ektrit honge. 

       Ram navami ki tarah moharam bhi baba bade dhoom dhaam se manate the. Sabhi dharmo ke log shraddha se baba ke saath hote the. Bhagwat gita ki tarah baba ko kuran bhi gyaat tha, mandir ki tarah masjid me baba sahaj agnipooja karte tatha ghantanaad bhi karte the. Koi bhi baba ko nahi rokata kyunki baba unke bhagwan the aur ve jo bhi karte sabko manjur tha. Sai baba sabhi dharmiyo ke the aur sab dharm unke the. (Saibaba stories)

2. Baba ka janm aur bachpan (Saibaba stories)


       Baba ka janm pathari namak ek chotese gaav me san 1835 ko hua. Bachapan me sabhi unhe babu kahkar pukarte the. Babu ko gilli danda aur kanche khelne me bahut ruchi thi. Gaav ke sahukar ka ladka bhi unke saath khelne aata tha. Ek din vo kanche khel rahe the babu ne sabhi ko maat dedi aur unke kanche jit liye. Sahukar ke ladke ko bada gussa aaya. (Saibaba stories)

       Vo aur kanche lekar aaya aur uske sath gharse pooja ka shaligram bhi lekar aaya. Babu ne fir se sabhiko maat dedi aur sare kanche jit liye. Uske saath vo shaligram bhi jita. Tabhi sahukar ka ladka rota hua ghar gaya aur apne maa ko bulakar laya aur bola ki babu ne mere kanche chin liye aur apna pooja ka shaligram bhi chin liya. Sahukar ki patni babu ko dantane lagi, kanche aur shaligram mangane lagi.

       Tabhi babu ne mana karte huye shaligram apne muh me dala. Sahukar ki patni ne babu ko jor ka thappad lagaya tab babu ka muh khul gaya aur vahape shaligram ki jagah bramhand dikhayi diya. Tab sahukar ki patni ne babu se mafi mangi aur kaha ki tum to sakshat ishwar ke avtar ho. (Saibaba stories)

3. Akkalkot swaami aur  do rupayo ke sikke


        Harishchandra pitale saibaba ke parm bhakt the unke bhakt banane ki kahani badi anokhi he.
Pitale apne pariwar ke saath mumbai me rahate the. Unke eklaute bete ka naam navin tha. Ek din achanak uske school se unko phone aaya, unhe jaldi school aane ke liye bola gaya. Vaha jakar unhe pata chala ki navin achanak behosh ho gaya tha. Tab vo navin ko aspatal me lekar gaye, vaha unko pata chala ki navin ko apasmar (achanak behosh hone) ki bimari he.

        Harishchandraji ghabra gaye aur doctor ko kahane lage ki jitane rupaye chahiye le lijiye lekin mere bete ko thik kijiye. Unhone bahut bade bade doctor ko dikhaya, bahut paisa kharch kiya lekin navin ki bimari thik hi nahi huyi.  Harishchandra ke ek dost ne use shirdi le jaane ke liye kaha. Harishchandra pitale apni patni aur bimar navin ke saath shirdi gaye. Vahake loge ne unse pucha ki aap kon he, ham aapki kya madad kar sakte he.

        Tab harishchandra ji ne kaha ki mera beta bimar he mere dosto ne muze use shirdi le jane ki salah di he. Krupaya hamari madad kijiye. To log unhe saibaba ke dwarkamai me le gaye. Vahapar jakar sabhine baba ko pranam kiya. Navin jab baba ki charano ki aur zhuka tabhi use dard hone laga aur vo karahane laga. To saibaba ne use masjid ke paaswale makan me le jane ko kaha. Paaswale makan me jaane ke kuch der baad navin ne apni aakhe kholi. (Saibaba stories)

        Navin ab thik ho gaya he ye dekhakar vo sabhi vahase baba ke paas pahuche. Baba ko pranam kiya, baba ne unhe tin rupayo ke sikke diye aur kaha ki inhe unhi sikko ke saath rakhana jo mene kai saal pahale diye the. Inki pooja karna, tum kisibhi hani aur sankat se bache rahoge. Ghar me bimari aur clesh ka prakop kabhi nahi hoga. Tumhara kalyan hoga. Vahase jate vakt un dono pati patniyo ke bich yahi vartalabh chal eaha tha ki ham to kabhi baba ke paas gaye hi nahi the to baba ne kon se sikko ki baat kahi.

        Pitale apne pariwar ke sath mumbai apne ghar aaye. To harishchandra ji ne apni maa se do rupayo ke sikko ke baare me pucha. Tab unki maa ne bataya ki bahut purani baat he ki ham akkalkot swami ji ke darshan ke liye gaye the. Tab tumhare pitaji ko swami ji ne do rupayo ke sikke diye the aur unki pooja karne ke liye kaha tha. Lekin tumhare pitaji ki maut ke baad un sikko ki pooja band ho gayi. Unke baad tumne un sikko ki pooja nahi ki tatha unko sahi sthan par bhi nahi rakha, isiliye tumhare bacche ko ye bhugtana pad raha tha. Uske baad harishchandra ji ne hamesha un sikko ki pooja ki. (Saibaba stories)

Abhipray:


Guru ko kabhi bhulna nahi chahiye, hamesha unke bataye huye rastepar hi chalna chahiye. Ham guru ko bhool bhi jaye par vo hame kabhi nahi bhulate.

Conclusion:

To dosto aapko kaisi lagi shri saibaba stories hindi ki ye post. Mujhe comment karake jarur batana.
Is lekh ko pura padhane ke liye dhanyawaad. Aagar yah post shri saibaba stories hindi aapake liye madadgar hai to ise social medea par share karake dusaro ki madad kare.

Comments

Popular posts from this blog

Sai mantra (Sai kasht nivaran ke 108 dohe)

Shri sai stavan manjari

Bhajans of sai baba