Saibaba stories hindi

Saibaba stories hindi


Saibaba stories Hindi 

     Saibaba stories hindi: Mere pyare dosto Saibaba stories me aaj me aapko Saibaba ke gehu pisane ki katha batane jaa raha hu. Aur me asha karta hu ki aapko katha ka tatparya acchese samaj me aayega.

Saibaba stories: 

Gehu pisane wala adbhut saint: 


      San 1910 me sai baba ke masjid me ek vichitra drushya bhakto ne dekha. Saibaba muh hath dhone ke paschat chakki pisane ki tayyari karne lage. Unhone farsh par ek tat ka tukada bichaya uspar hath se pisane vali chakki rakhi aur kuch gehu dalkar pisana aarambh kar diya. 

      Baba ko chakki pisane se kya labh ho sakta tha ye kisiko samjh me nahi aa raha tha. Unke pas to koi he bhi nahi, vo apna nirvah bhi bhikshu vrutti se karte the. Baba ke chakki pisane ka samachar shighra hi sare gav me fail gaya. Aur unki ye vichitra lila dekhane ke liye sare gav ke nar-nariyo ki bhid masjid ki aur badhane lagi. Unme se char nidar shriya bhid me se aage gayi aur unhone baba ko vaha se balpurvak hataya. 

       Aur unke hath se chakki ka kuta chinkar, tatha unke lilao ka kayam karte huye unhone gehu pisana prarambh kr diya. Pahale to baba krodhit huye parantu fir unka bhaktibhav dekh ve shant hokar muskurane lage. Pisate pisate un shriyo ke man me aisa vichar aaya ki baba ke na to ghar dwar he aur na koi unke bal bacche he. Vo swayam bhikshavrutti dwara hi apna nirvah karte he.
Saibaba stories
       Unhe bhojanavadhi ke liye aate ki aavashyakata hi kya he. Baba to param dayalu  he, ho sakta he ki ye aata ve ham sab me hi vitaran kardenge, inhi vicharo me magn hokar gana gate gate unhone sara aata pis dala. Tab unhone chakki ko hatakar char saman bhag kiye aur apna apna bhag lekar jane lagi. Abhi tak shant mudra me nimakt baba krodhit ho gaye aur unhe apshabd kahane lage. Shriyo kya tum pagal ho gayi ho, kya koi karjdar ka maal he. Jo itani aasani se uthakar le jaa rahi ho. Accha ab ek kam karo ke is aate ko le jaakar gaav ki sima par bikher aao.

       Us gaav me vishuchika ka joro se prakoop thaa aur uske nivaar ke liye hi baba ka ye upchaar thaa. Abhi aapne jo kuch padha vo gehu nahi vishuchika yani haija tha. Jo piskar nasht kar di gayi he. Is ghatna ke paschat sachmuch vishuchika ki sankramakta shant ho gayi aur gaav vasi sukhi ho gaye.

Is ghatna ka pura ullekh shri sai satcharitra  me kiya gaya he.
Saibaba stories

  
Saibaba stories hindi

Tatparya: 

      Shirdi vasiyo ne is aata pisane ki ghatna ka jo arth lagaya vo to prayag thik hi he parantu uske atirikt is ghatna ka koi aur arth bhi he.
    
        Baba shirdi me 60 varsho tak rahe aur is dirgh kal me unhone aata pisane ka karya praya pratidin hi kiya. Pisne ka abhipray gehu se nahi he varan apne bhakto ke papo, durbhagyo, mansik tatha sharirik tapo se tha. Unki chakki ke do pato me upar ka pat bhakti aur niche ka pat karm tha. Chakki ke muthiya jise pakadkar vo pisate the vo tha gyan. 
Saibaba stories
        Baba ka drudh vishwas tha ki jabtak manushya ke hruday me pravruttiya, aasakti, ghruna tatha ahankar nasht nahi ho jaate. Jinka nasht hona atyant dushkar he tabtak Gyan tatha atmanubhuti nahi hoti.

Conclusion: 

             To dosto aapko kaisi lagi saibaba stories hindi ki ye post. Mujhe comment karake jarur batana.
Is lekh ko pura padhane ke liye dhanyawaad. Aagar yah post saibaba stories hindi aapake liye madadgar hai to ise social medea par share karake dusaro ki madad kare.

Comments

Post a Comment

Please do not enter any spam link in the comment box

Popular posts from this blog

Sai mantra (Sai kasht nivaran ke 108 dohe)

Shri sai stavan manjari

Bhajans of sai baba