Saibaba stories
Saibaba stories
Mere pyare dosto saibaba stories me aaj me aapko saibaba ki 5 kahaniya batane wala hu. mwe asha karta hu ki aapko vo acchi lage.
1. Shirdi me aagman
Bachpan se babu shivmandir me pooja karta tha aur masjid me jakar kuran ka pathan bhi karta tha. Lekin gavwalo ke anusar ye adharm tha. Log kahte the ki vo masjid me kya kar raha he kal to mene use shivmandir me jate dekha tha. Ye kaun se dharm ka ladka he muze to pakhandi lagta he, ye adharm ham nahi chalne denge, ise mandir ya masjid me pravesh mat do gav ke bahar nikalo use. Ye ghatna saibaba ke ghar tak pahuchi tab unki maa ne unse kaha ki babu kuch anhoni ghatne se pahle tumhe ye gav chodna hoga, gavwale kafi ghusse me he.
Chalo ham swami Ji ke ashram me chalte he. Tab babu ne bola ki jaisi tumhari iccha maa, Jaha Dharm ke Naam par itna duja bhav he vaha me khud rahna nahi chahta. Gavwalo ka badhta virodh dekhakar uski maa ne use venkush swami ke ashram me adhyayan ke liye rakhane ka nicchay kiya. Us aashram me babu ne sabhi dharmo ka adhyayan kiya. Swami Ji ki mrutyu ke baad ashram chodkar babu tirthyatra par nikal pada.
Gav gav ghumte huye vo shridi aa pahucha, vaha ek nim ke ped ke niche usne apna aasan jamaya. Fakir ke vesh me dhyanasth babu logo ka aakarshan ban gaya. Aane jane vale log unse kahne lage maharaj aap kon ho aur kaha se aaye ho. Tab babu ne bola ki ye jankar kya karoge tum to is janm ki baat kar rahe ho par me tum sabke sabhi janm ke baare me janta hu. Bhid me do logo ke sharir me ishwari sanchar hua. log Kahane lage ki he bhagvant ye ladka kaun he.
Jin logo ke sharir me ishwari sanchar hua tha vo kahne lage is jagah khodo tumhe uttar mil jayega. Logo ne vaha khudayi ki aur dekha ki vahapar ek gufa thi. Vahapar ek tahkhana tha usme ek kabutara tha, baithak par ek mala thi aur uske bagal me char dip jal rahe the. Vo adbhut drushya dekhkar log natmastak ho gaye aur bolne lage ye balak ek allokik purush he yaha usne tap kiya he.
Ispar babu ne kaha ki ye mere guru ka pavitra sthan he. Ise band karke iska jatan karo.logo ne us tahkhane ko band kiya. Is ghatna ke paschat dur dur se log babu ke darshan karne aane lage aur ek din dekha ki babu vaha se gayab ho gaye. Vo kaha gaye iska pata kisiko nahi laga.
Saibaba stories
2. Agnipujak Saibaba
Hamesha ki tarah ek din baba dhuni ke paas baithe the aaspas kuch bhaktgan bhi the. Kuch samay baad achanak baba ne apne dono hath dhuni me dal diye aur kuch dhundhane kuch uthane lage. Ek bhakt ne kaha baba ye kya aapke hath jal jayenge piche ho jayiye.
Baba ne kaha theharo beta muze mera kam karne do mere ek lohar bhakt ki beti batti me gir gayi he, muze use bachana hoga. Aur baba fir se hath dhuni me dalkar kuch uthane lage. Kuch dino baad baba ka ek bhakt apni ladki ko lekar baba ke paas aaya. Aur kahane laga baba aapne meri pukar sun li, meri beti ko bachaya aapne use bhatti se nikala. Tab baba ke ek bhakt ne bola ki baba to yahi the hamare saath.
To us bhakt ne kaha ki nahi nahi mene apni aakho se baba ko meri bacchi ko bachate huye dekha he. Baba bole chinta na karna beta sab thik ho jayega. Bhakto ki pukar ka paalan karna mera dharm he. Teri beti punah acchi ho jayegi. Baba ne usko dhuni ki rakh dedi jitane baba ke haath dhuni me jal gaye the utni hi vo bachi jal gayi thi.
Apne bhakto ki pukar par baba hamesha hi daude chale aate he.
Saibaba stories
3. Gangajal
Dasganu maharaj saibaba ke ek mahan bhakt the, unhone saibaba ki akhand seva ki. Maharashtra ke gav gav jakar unhone kirtno dwara saibaba ki adbhut lila logontak pahuchayi. Ek din das ganu maharaj baba ke paas aaye aur bole baba krupaya muze prayag jaane ki anumati dijiye. Ganga snan ke liye man utavala ho raha he. Baba ne bola ganga snan ke liye prayag tak jane ki kya jarurat. Jaha shraddha vaha ishwar.
Tumhara prayag to yahi he bas jarurat he to man ke drudh vishwas ki. Aisa kahkar unhone apne dono pair aage badhaye aur agale kshan dono angutho se pani ke nirmal zharane bahane lage. Baba ke pairo se ganga prakat ho gayi. Ye dekhakar das ganu maharaj ne baba se mafi mangi aur bole aapne mere man ke dwar khol diye. Mera prayag aapke charno me hi he. Baba ne kaha utho mera ashirwad hamesha tumhare saath he.
Saibaba stories
4. Pani ke dip
Dwarkamai me baba roj tel ke dip jalate. Uske liye aavashyak tel gav ke baniya unhe khushi se paise liye bina dete the. Shuru me jis prakar baba ke asankhya bhakt the usi prakar unase ghrina karnevale bhi kam na the lekin baba unhe kabhibhi prattuttar nahi dete the. Ve apne karya se hi sabko jawab dete the. Aisehi kuch logo ne ek baar baniyo ko baba ke khilaf uksaya. Vo bole ki is fakir ko muft me tel kyu deto ho har roj. Vo koi mahatma nahi he.
Aur unki baat sunkar baniyo ke man me khayal aaya ki ye satya kah raha he . Ham kyu nuksan uthaye. Aaj se tel dena band. Roj ki tarah baba tel mangane gaye tab baniyo ne kaha ki baba aaj se ham tel nahi de sakenge. Uspar baba ne kaha thik he jaise aapki iccha, ishwar aapka bhala kare. Aur baba vahase vapas chale gaye. Ve log chupke se baba ke piche gaye baba kya karte he ye dekhane.
Baba ne masjid me aakar lote me pani liya aur kuch pani pikar bakika pani diyo me dalne lage. Fir un diyo me kapas lagakar unhe jalaya. Diye to aise jalne lage jaise unme pani nahi balki tel ho. Ye chamtkar dekhkar chupke se dekhane vale log aage badhe aur baba se bolne lage ki baba hamse badi bhul ho gayi. Hame kshama kijiye. Baba ne unhe dilasa diya aur kaha jao beto in dipo se tumhare man ka andhkar dur ho gaya isi me muze khushi he.
5. Saibaba ka dehtyag
Mangalwar 15 actober 1918 vijayadashmi dopahar 2:30 ko saibaba ne apna nashwar sharir tyag diya. Baba ke mukh se nikale saral updesho se kitne nastik aastik ho gaye, kitanonko parmarth mila, hajaro logonka pap shalan hua. Dhan sampatti ka moh chodkar samaj ke uddhar ke liye baba ne apna sara jivan vyatit kiya. Unhone kabhibhi dharmo ke prati bhetbhav nahi kiya.
Unch-nich, Garib-amir sabhinko ek hi najar se dekha. Apne yog sampann jivan se unhone lakho pidito ke jivan me ujala faila diya. Baba chale gaye aur shirdi hi nahi balki sare vishva me faile unke bhakto me akrosh badh gaya. Shirdi me aasuonki jaise badh hi aa gay
i. Par baba kisiko chodkar nahi gaye the. Sirf unka sharir akhonke samne nahi raha. Drudh vishwas se aaj bhi unka smaran kijiye unko apni aakhonke samne pavoge. Baba ne apna vachan satya kiya. Ve kal bhi the aaj bhi he aur anant kaal tak rahenge. (saibaba stories)
Unch-nich, Garib-amir sabhinko ek hi najar se dekha. Apne yog sampann jivan se unhone lakho pidito ke jivan me ujala faila diya. Baba chale gaye aur shirdi hi nahi balki sare vishva me faile unke bhakto me akrosh badh gaya. Shirdi me aasuonki jaise badh hi aa gay
Conclusion:
To dosto aapko kaisi lagi saibaba stories ki ye post. Mujhe comment karake jarur batana.
Is lekh ko pura padhane ke liye dhanyawaad. Aagar yah post saibaba stories aapake liye madadgar hai to ise social medea par share karake dusaro ki madad kare.
Is lekh ko pura padhane ke liye dhanyawaad. Aagar yah post saibaba stories aapake liye madadgar hai to ise social medea par share karake dusaro ki madad kare.
Comments
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box