Saibaba stories

Saibaba stories 

      Saibaba stories: Mere pyare dosto aaj me aapko Saibaba stories ke is post me Saibaba ki do katha batane vala hu. Ye do katha bahut anmol he. Inme aapko sai baba ka nam karan kaise hua ye pata chalega aur sai baba ke yog samarthya ke bare me pata chalega.

Saibaba stories
Saibaba stories

1. Sai namkaran

       San 1858 aurangabaad jile me dhuup nam ka ek chotasa gaav he. Vaha rahanewale chand bhai ghodo ke shaukin the, apne ghodo se unhe bahut pyar tha. Ekdin achanak unhe sabse pyari honewali ghodi vahase gayab ho gayi. Apni ghodi ki khoj me chand bhai gav gav bhatakne lage aur ekdin vo gaav ke bahar jangal me aa pahuche. Vahapar unhone ek baba ko ped ke niche tapassya karte dekha. Unka vo tej dekhakar chand bhai baba ke paas pahuche.

        Unhone baba ko pranam kiya aur bole meri ghodi kho gayi he, kai dino se me use dhundh raha hu koi pata nahi chala. Aap kuch kijiye maharaj. Fakir ke vesh me baitha yuvak babu hi the unhone chand bhai se kaha ki chinta na karo beta tum us disha me jao tumhe ghodi mil jayegi. Us disha me kuch hi duri par chand baba ko apni ghodi mil gayi. Vo bahut khush huye. Vapas aakar unhone babu ke charano me apna matha rakh diya. Aur baba se kaha ki aapki krupa se muze meri ghodi mil gayi me aapki kya seva karu. 
      
        To babu ne kaha ki ye chilam jalado. Lekin chand bhai ne bola ki maharaj aag nahi he tab babu ne apna chimta jamin par patka aur vaha aag ka dhadhakta hua angar dikhane laga, chand bhai ne chilam jalakar babu ko di. Chand bhai ne baba ko apne ghar aane ke liye bola tab baba ne kaha ki, tum jao beta me avashya tere ghar aaunga lekin aaj nahi. Chand bhai apne ghar gaye aur baba ki rah dekhane lage 2-3 din baad baba chand bhai ke ghar gaye.

        Baba ke liye chand bhai ne uttam vyavastha rakhi, ek din chand bhai ne baba se bola ki shirdi me mere bhanje ka vivah tay hua he aap bhi hamare sath shirdi chaliye. Aur baba bhi unke sath nikal pade. Barat gav ki sima par ek mandir par pahuchi us mandir ke malik mhalsapati sabka swagat karne aage badhe. Tab unki najar babu par padi aur unhone babu ko sai kahkar pukara. Us din se sabhi log babu ko sai kahane lage. Aadar se log unhe sai baba ke nam se pukarne lage.

        Shadi ke baad sab log lautane lage. Tab chand baba ne sai baba ko kaha ki chaliye sai baba vapas jana he to uspar baba ne kaha ki aap jayiye me ab yahi rahunga. Shirdi aur mera janm janmantar ka rishta he. Saibaba ne purn roop se shirdi me hi apna vastavya kayam kiya. (Saibaba stories)

Saibaba stories
Saibaba stories

2. Baba ka yog samarthya

       Margshish mahine me puran masi ka din tha. Dinbhar baba ko sas ki taklif ho rahi thi. jaise raat chadhane lagi unki taklif aur badhati gayi. Baba ke bhakto ne kaha ki baba aapki tabiyat bigad si gayi he ham vedya ko bulate he, tab baba ne kaha ki nahi uski jarurat nahi is nashwar sharir ke bhog to bhugatne hi padenge. Baba ne mhalsa pati se apne pran bramhand me chadhaane ke bare me kaha. Agale tin din mere pran is sharir ke bahar rahenge. 

       Is sharir ki raksha karo muze hath na lagana tatha muze aavaj bhi nahi dena. Us kone me gaddha khodke muze usme rakh dena mhalsapati. Aur aisa kahkar baba ne apne pran bramhand me chadhaye. Sabhi log ghabraye par mhalsapati shant the. Mhalsapati ne logo se kaha ki shant ho jayiye baba vapis aa jayenge shanti rakhiye. Baba ki aagya thukrakar mhalsapati ne baba ka sir apni god me rakha aur baba ke jagane tak satark rahne ka nicchay kiya. 
      
       Sare log baba ko dekhane daudne lage sabhi taraf hahakar mach gaya kintu mhalsapati shant the. Logo ne mhalsapati se kaha ki baba hame chodkar chale gaye unka antim sanskar karna hamara kartavya he. Tab mhaalsaapati ne sabhiko mana kar diyaa aur kaha ki khabrdaar kisine baba ko chuaa bhi to. Baba kahi nahi gaye he unhone vachan diya he vo vapas aayenge. Tisare din suryoday se pahale baba ke sharir me chetana jaagi, unke hath pair hilne lage aur ve uth baithe. Apne yog samarthya se unhone mrutyupar vijay prapt ki.
       
       Sabhi log aanandit ho gaye aur kahne lage ki baba uthe, baba hamare sath he. Aur logo ne mhalsapati se kshama mangi. Aur is ghatna ke lagbhag 30 saal tak saibaba hamare sath rahe.(Saibaba stories)


Conclusion:

To dosto aapko kaisi lagi saibaba stories ki ye post. Mujhe comment karake jarur batana.
Is lekh ko pura padhane ke liye dhanyawaad. Aagar yah post saibaba stories aapake liye madadgar hai to ise social medea par share karake dusaro ki madad kare.


Comments

Popular posts from this blog

Sai mantra (Sai kasht nivaran ke 108 dohe)

Shri sai stavan manjari

Bhajans of sai baba