Sai mantra (Sai kasht nivaran ke 108 dohe)

Sai mantra (Sai kasht nivaran ke 108 dohe)

Sai mantra: Dosto aaj me aapko sai mantra batane wala hu jo saibaba ke kasht nivaran dohe kahkar bhi jane jaate he. In sabhi mantro ka har roj jap karane se sabhi dukho se mukti mil jaati he aur sankat dur bhag jaate he.

Sai kashat nivarani ke 108 dohe:

Om Shri sainathay namah.

"Om sai namo namah shirdi sai namo namah, jay jay sai namo namah sadguru sai namo namah", is mantra ko panch bar jaap kare.


Sai mantra
1. Sadguru sainath ki vandana, Karte he sabhi sahit anant, baba krupa drushti karate raho. Tum ho paramsacchidanand.

2. Pratham naman karu paar bramha ko, narad sharad shesh, hath jodakar vinati karu, He gauri putra ganesh.

3. Karake guru sadguru vandana karu me charan kamalo ka dhyan, sai safal karo puja ko, dekar shakti bhakti saccha gyan.

4. Palako ki meri palaki pe, aan baso mere sai ram, hruday ka singhasan he khali, aakar betho mere sai ram.

5. Jag me hamara koi nahi, sabhi granth sant ye batlaye, sadha jivan sacchi karani, aur sai simaran hi paar lagaye.

Sai mantra
6. Kiye ja simaran bande sai ka, agar tumane mukti ko paana he, ye ghar to paraya he bhai, isako chodkar sabane jaana he.

7. Mat laga prit dushiyo me, iname vyatha janm gavana he, mila he hira janm anmol, jo fir hath nahi aana he.

8. Tod de sansar ke bandhan, lag jao karne sai bhajan, nahi kisi se kaam aana he, sai naam hi tera thikana he.

9. Ye sab matlab ka jamana he, kisi ne bhi nahi sang jaana he, kiye ja simaran bande sai ka, agar tumane mukti ko pana he.

10. Sharan aajao sai ke, tumhe kabhi dhokha nahi hoga, yuhi jivan bit jayega, fir kabhi mauka nahi hoga.

Sai mantra
11. Saiji ko samarpit karta hu, me apani bhavana ke ful, tum mere pran ho sai, me teri charano ki hu dhul.

12. Man me teri murat samayi he, harpal kshan mahima gayi he, Saibaba bade hi nirale he, baba sabake hi rakhavale he.

13. sabhi namo se he badhakar pyara naam sai ka, besaharo ka is sansar me bas keval sahara sai ka.

14. Sai hi maa kali, sai hi maa chandi, sai teri hi naam aadibhavani he, Sai hi durge maa sai hi ambe, sai tera hi naam radherani he.

15. Sai sharade maa, sai hi lalita, sai terahi naam maa kattyayani he, Naam lekar tera sai maiyaa, par hogaye lakho prani he.

Sai mantra
16. Sai hi raghav, keshav, shankar mahan he, sai hi mohammad, isa aur hanuman he, Sai hi buddha, nanak aur mahavir he, sai hi digambar, paigambar aur kabur he.

17. Sai hi karuna ke bhandar, jinaki mahima he aparampar, Sai he sab sukho ke dhaam, unako mera koti koti pranam.

18. Sai hi pita hamare aur maata he amberani, inhi ke aashirwad se mili he hamko ye jindgani.

19. Sai is bhavsagar me, ham din sukhi he saare, sai naam ek jahaj bhai, sai bhajeso paar utare.

20. Natho ke naath he sai, dino ke dinanath he sai, bhakto ki zoli bharate he sai, khud khali rahate he sai.

Sai mantra
21. Tum shirdiwale baba sai, sabka bhala karnewale ho, hindu, muslim, sikh, isayi, sabhi ke tum rakhwale ho.

22. Shirdi ki pawan dharati par, jo bhakt sai darshan ko jaate he, sau kadam badhakar sai, apane bhakto ko gale lagate he.

23. Sabako milta he pyar yaha, icchit fal bhi yaha paate he, hindu - muslim, sikh - isayi sabhi, apani shraddha ke phul chadhate he.

24. Teri daya karuna ke baba, sara jag gun gaata he, sharan me teri aakar baba, har prani sukh pata he.

25. Sai bhakti ahankar ka, sachamuch karti he nash, moh mamata ka bhedan kare, nash kare karm prash.

Sai mantra
26. Kya sadhu - sant grahasthi, kya raja aur kya rani, saiji ki pustak me likhe, he sabake karmo ki kahani.

27. Sai ne dukhiyo ka dard mitaya, uch nich ka bhed bhulaya, sai darbar me raja ya rank aaya, baba ne sabhiko gale lagaya.

28. Sab hi he ishwar ke ansh, sabka malik he tu ek, bhakto ko saibaba ne, di he shiksha badi hi nek.

29. Sai kisi ko kam nahi deta, na kisiko damadi jyada, isiliye duniya ka sai, jag ka seth he kahalata.

30. Kashto ki kali chaya sukhdayi he, jivan me ghare udasi layi he, ghar me re kashto ki aandhi aayi he, baba kyu meri sudh bhulayi he.

Sai mantra
31. Adaro par mere nahi he muskan, ghar mera banane laga he sunsan, karta hu vandana prem vishwas se, suno saiji allah ke vaste. 

32. Raham najar karo ujade viran pe, jindagi savaregi ek vardan se, papo ki dhup se tan laga harane, aapka ye daas laga pukarane.
om sainath

33. Na bhakti na gun he mere me, aur na kuch kinhi seva, fir bhi me sharan teri hu, namo namo he mere sai deva.

34. Drusht jano se bhi shraddha se, yadi baba kabhi tumhe pukara, sadguru sainath ji ne sadev unhe bhi he ubara.

35. Na dhairya he, na shraddha jiname, dub jaate he ve majdhar, shraddha se sai simaran jo kare, ve jan ho bhavsagar se paar.

Sai mantra
36. Mitenge dil ke dukh shok sare, saiji ke sharan me aane se, mat kar sankoch tu pyare, naam saiji ka dhyane se.

37. Yadi sai naam dil se pukaro, sahara apane aap mil jayega, jo naiya kardo sai hawale, kinara apane aap mil jayega.

38. Aapne sada hi laaj bachayi he, der na hojaye man shankayi he, dhire dhire dhiraj hi khota he, man me basa vishwas hi rota he.

39. Dhote dhote papo ka bhar, ab jivan se gaya hu har, baba meri kalpana sakar kardo, suni jindagi me rang bharado.

40. Sai avgun mere abto pisaro, pap kashto se sai muzhe ubaro, karta hu pap papo ki khan hu, gyani tum sai me agyan hu.

Sai mantra
41. Karta hu pag pag par, sada papo ki bhul me, sai ab mera bhi uddhar karo, apane charano ki dhul se.

42. Saine ujade gharo ko basaya, pani se dipak bhi jalaya, sai ne shirdi ko dham banaya, chote se gav me swarg sajaya.

43. Bhavsagar se muzhe paar utaro, sai prem, daya drushti se niharo, aapka daas hu aise na taliye, girane laga hu sai muze sambhaliye. 

44. Saiji balak me anath hu, rahta tere bharose dinrat hu, Tu he savera aur me raat hu, mel nahi fir bhi sath hu.

45. Jaisa bhi hu hu to aapka, kijiye niwaran mere santap ka, sai muzhase mukh na modo bich majdhar akela na chodo.

Sai mantra
46. Sai koi nahi bin tere, baba  ban jao pran adhare, sankat talo sharan lagao, sai bin hame kon ubare.

47. Baba tere gun he ananmat, bhala kaise inhe gau me, samaj me na aaye sai muze, kis vidhi tuze pau me.

48. Aapke charano me base pran he, tere vachan mere guru saman he, aapki raho par chalana he daas, jivan me nahi khushi man he udas. 

49. Aasu ki dhara he dubata kinara, he jindagi me dard aur nahi gujara, lagaya chaman to phul khilao, khile he phul khushabu bhi lao.

50. Is yug me ham vichalit he baba, aur charo aur andhera he, Dukh ke sagar me saibaba, bas sahara keval tera he.

Sai mantra
51. Sabhi jiv apane agyan se, jivan me paate he bahut re kasht, sai sharan se palbhar me, ho jate he unke pap nasht.

52. Lakh chaurasi ke chakkar kate, tab manush tan tha paya, lobh, moh maya ke chakkar me, vyarth hi jivan sara gavaya.

53. Baba bhakti, mukti dedo muzhe, mal khajane ka kya karna, jab mil jaye sahara sai ka, Zhute saharo ka kya karana.

54. Saiji karm kiye jaise hamne, vaisahi ham fal payenge, kardo krupa hampar baba, ham bhi bhavsetar jayenge.

55. Der to hogayi he andher na ho, aashish mile lekin fareb na ho, deke talo yasaman bachalo, hilane lagi rehnumayi sambhalo.

Sai mantra
56. Tere dam pe allah hi shan he, sufi santo ka ye bayan he, dedo sai bhaktika khajana, saibaba karo na bahana.

57. Dar ke bhikhari he mohtaj ham, shehanshah aalam karo kuch raham, tere khajane me allah ki rahamat, sadguru sai tum ho samrat. 

58. Sai aaye dharati par dene sahara, karne lage kyu hamase kinara, jabtak ye bramhand rahega, sai tera naam rahega.

Om shri sai nathay namah

59. Chand sitare tumhe pukarenge, janmo janm rasta niharenge, aatma badlengi chole hajar, sai milate rahenge harbar, harbar.

60. Sai ke charano me baithe rahenge, dukhade dilke kahate rahenge, aapki marji do ya na do, ham kahenge daman hi bharado.

Sai mantra
61. Sai tum ho data ham bhikhari, sunate nahi kyu arj hamari, accha chalo ek baat batado, kya nahi tumhare paas batado.

62. Saiji nahi dena he inkar do, khatam aapas ki takarar kardo, sai lautake khali chala jaunga, baba fir bhi tere gun gaunga.

63. Sai tune kahatha aaunga me, shraddha se jab bhi muze pukaro, shraddha se raha pukar me sai, dekar sharan muze paar utaro.

64. Baba deri kardi yade aaneme, der na lagegi mere gir janeme, sai aaye he ham tere dwar, sunlo baba abto pukar.

65. Ek vaar dedo sai mujhako, niit japataa rahuu sai tumko, mayaa ke dalme me fasaa hu, nikalo isase sai mujhako.

Sai mantra
66. Sai naam ki bhikh dedo baba, me bankar bhikhari aaya hu, naam lete jau baba tera, sai naam kamane aaya hu.

67. Japu me sai naam ki mala, gun sada me tere gaunga, sai sai ratate - ratate me, sathi me mil jaunga.

68. Sai satyamarg hame dikhayiye, sant sujanaka path, pap karm se hame bachayiye, sai pakadkar hamara hath.

69. Jabtak kaya tabtak maya he, isime dukhoka mul samaya he, kuch nahi jaanata anjan hu me, allah ki shan tu teri shan hu me.

70. Sai tera karam sada sabpe rahega, ye chakra yug yug chalta rahegaa, jo prani gayega sai tero naam, mile mukti pahuche paramdham.

Sai mantra
71. Pratidin shraddha bhakti se jo, karte sai kasht nivarani ka jaap, swayam raksha karte he baba unki, bankar sankatmochan aap.

72. Ye mantra jo prani nish din gayenge, rahu, ketu, shani nikat na aayenge, tal jayenge sankat dukh sare sai, ghar me vas kare sukh sare sai.

73. Jo iska shraddha se karega pathan, uspar dev sabhi ho prasann, chinta, rog, dosh nasht ho jayenge, sai kasht nivarani jo gayenge.
74. Bande karale saiji ka bhajan, ab tu hoja usme magn, tera dukh pap, badha sari, sabhi fir lenge bhagan.

75. Baba mere pap karmo ko maf karo, bure karmo ka lekha saf karo , sai sharan aaya mera uddhar karo, baba bhavsagar se muzhe paar karo.

Sai mantra
76. Is granth ko jo nishidin vache, lakshmi ji ghar usake sada viraje, garibi mite unke pap kate, sai aapne bhakto ki pat rakhe.

77. Gyan buddhi prani vo payega, sai kasht nivarani jo dhyayega, ye mantra bhakto kamal karega, aayi anhoni uski tal karega.

78. Sai ram sai sham japoji, sai naam mishpriy he bol bol pii, bhut pret bhi rahenge sada dur, sai mantra me shakti he bharpur.

79. Aaye he sharan baba rakhsha karo, sai bhakto ke sab bhandar bharo, mere sainath muzhe kshama karo, mere pap, tap shrap dur karo.

80. Saiji he jab hamare sath, fir kis bat ki chinta, sai charano par rakh diya math, fir kis baat ki chinta.

Sai mantra
81. Meri nayya ke he sai khavaiyya, fir kis baat ki chinta, meri naiya ke he sai khivaiyya, fir kis bat ki chinta.

82. Meri baba ko rahati he, mere har baat ki chinta, sai he din bandhu, dinanath, fir kis baat ki chinta.

83. Meri laaj he baba ke hath, fir kis baat ki chinta, unke upar pad nahi sakti, papo ki parchayi, jinki raksha khud karte ho shirdiwale baba sai.

84. Shraddha prem se jo bhi jan, naam saibaba ka lete he, parvat unko shish zhukate, sagar bhi unko rasta dete he.

85. Gate rahe jo ye tantra agar, jadu tona bhi hojaye beasar, is mantra me sab gun he samaye, na ho bharosa to aajmaye.

86. Mushkil kitani bhi aaye, kabhi nahi hona udas, saibaba apane bhakto ki, kar dete he puri aas.

87. Ho jati he dur sab nirasha, mit jate he sabhi zhamele, sai charano me sada lagate, bhakto ki aashao ke mele.

88. Ye vachan sai hi mano, swayam amal karo satya pahchano, sanshay na laana vishwas jagana, ye mantra he sukho ka khajana.

89. Baba 33 karod devata, gun tere he gaye sai, koti surya koti chandrama, sab tuzhame samaye sai.

90. Char ved aur lakho granth, sabme mahima teri gayi, sahastra lakh yogi muni bhi bhed tera nahi paye sai.

Sai mantra
91. Maya chintan chodkar, sai ko do apana man, sacchi kamayi karo sada, jisase nirmal hove tan.

92. Sai naam sai ka prasad, aur unki aarti ye tin, par lagate he jivako, karte he bramha me lin. 

93. Sai harika rup he, simaran karo sai naam, dukh harate sukh dete he, apane shirdi sai bhagwan.

Om shri sainathay namah

94. Sai samadhi mandir bada nirala he, manokamana puri karnewala he, dwarkamai bhi nahi he kam, mitati he bhakto ke gam. 

95. Bhagya rekhaye badal jaati he, sai naam bhajan karne se, gam bhi khushiyo me badalte he, likhakar  sai jaap karne se. 

96. Grahasthi, sant muni jan sabhi saiji ko hi dhyate he, janm janm ke paap mitane, sab sai sharan me aate he.

97. Samadhii mandirwaale saibaba bigadi hamaari banaa jaao, chavadiwaale saibaba aasha ke dip jalaa jaao. 

98. Dwarikawale saibaba mere ghar ko pavitra bana jao, sai mere ghar aangan se pap, tap, shrap mita jao.

99. Gurusthanwale saibaba muktika gyan sikha jao, ham sab anadi he sai jivan safal bana jao.

100. He param pita sai charno me hamko bhi dedo sthan, bure karmo ko maf karo sai, ham rahe he bade naadan.

Sai mantra
101. He mere sai bhagwan, pahi pahi karu dinrat, data sai tere rup ka, me dhyan karu dinrat.

102. Sai tera naam pyara lage, sai naam simaran karlo, papi bhi par utar gaye isase, lekar sai naam par utarlo.

103. Din ho chahe raat ho, sainath sada sath ho, chahe kuchbhi nahi paas ho, naam saika sada paas ho.

104. Sai ab aisi krupa karo, me sada sai ko hi dhyau, apanepn ko chodkar me, sai me hi mil jau.

105. Sainath teri puja karake, jagme shakti pau me, teri shakti bhakti ashish pakar, jivan safal banau me.

106. Sai daya karo krupa karo, kshama karo sai mere apradh, sai muzhe aisi shakti dijo, kabhi fir karu nahi koi pap.

107. Is wani me he saiji ka vas, sai daya se hi bole paya yah das, ye bol mantra padhega jo bhi koi sai das, saibaba uski kar denge puri aas.

108. Bhul yadi koi huyi muzhase, karna sai maf, mere jivan ke sai, karata - dharata ho aap.

Om sainathay namah
Sai mantra


Conclusion:

To dosto aapko kaisi lagi sai mantra ki ye post. Mujhe comment karake jarur batana.
Is lekh ko pura padhane ke liye dhanyawaad. Aagar yah post sai mantra aapake liye madadgar hai to ise social medea par share karake dusaro ki madad kare.

Comments

Post a Comment

Please do not enter any spam link in the comment box

Popular posts from this blog

Shri sai stavan manjari

Bhajans of sai baba