Sai chalisa full hindi

Sai chalisa hindi

Sai chalisa hindi: Hello dosto aaj mene is post me sai chalisa ki puri lyrics di he.


Anantkotii bramhaandnaayak
Raja dhiraaj yogi raaj
Parabramhaa shri sacchidanand
Sadguru sainath maharaaj ki jay !!

Sai chalisa

Pahale sai ke charno me
Apna shish namau me
Kaise shirdi sai aaye
Sara haal sunau me !!

Kaun he mata pita kaun he
Yah na kisi ne bhi jana
Kaha janm sai ne dhara
Prashn paheli raha bana !!

Koi kahe ayoddhya ke
Ye ramchandra bhagwan he
Koi kahta saibaba
Pavanputra hanuman he !!

Koi kahta mangal murti
Shri gajanand he sai
Koi kahta gokul mohan
Devakinandan sai he !!

Sai chalisa

Shankar samj bhakt kai to
Baba ko bhajate rahate
Koi kahe avtar datt ka
Puja sai ki karte !!

Kuch bhi mano unko tum par
Sai he sacche bhagwan
Bade dayalu dinbandhu he
Kitno ko diya jivan dan !!

Kai baras pahale ki ghatana
Tumhe sunaunga me baat
Kisi bhagyashali ki
Shirdi me aai thi barat !!

Aaya sath usi ke tha
Balak ek bahut sundar
Aaya aakar vahi bas gaya
Paavan shirdi kiya nagar !!

Sai chalisa

Kai dino tak raha bhatakta
Bhiksha mangi usne dar dar
Aur dikhayi aisi lila
Jag me jo ho gayi amar !!

Jaise jaise umar badhi
Badhati hi vaise gayi shan
Ghar ghar hone laga nagar me
Saibaba ka gungan !!

Dig digant me laga gunjane
Fir to sai ji ka naam !
Din dukhi ki raksha karna
Yahi raha baba ka kaam !!

Baba ke charno me jaakar
Jo kahta me hu nirdhan !
Daya usi par hoti unke
Khul jaate dukh ke bandhan !!

Kabhi kisi ne mangi bhiksha
Do baba muzha ko santan !
Aivam astu kehkar sai
Dete the usko vardan !!

Swayam dukhi baba ho jaate
Din dukhi jan ka rakh haal !
Antahkaran shri sai ka
Sagar jaisa raha vishal !!

Bhakt ek madraasi aaya
Ghar kaa bahut badaa dhanwaan !
Mal khajana behad uska
Keval nahi rahi santan !!

Sai chalisa

Laga manane sai nath ko
Baba muzhapar daya karo !
Zhanza se zhankrut naiya ko
Tumhi meri paar karo !!

Kuldipak ke bina andhera
Chaya hua he ghar me mere !
Isliye aaya hu baba
Hokar sharnagat tore !!

Sai chalisa

Kuldeepak ke re abhav me
Vyarth he daulat ki maya !
Aaj bhikhari bankar baba
Sharan tumhari me aaya !!

Dedo muzhako putra dan me
Rini rahunga jivan bhar !
Aur kisi ki aas na muzhako
Sirf bharosa hai tum par !!

Anunay vinay bahut ki usne
Charno me dhar kar ke shish !
Tab prasann hokar baba ne
Diya bhakt ko yeh aashish !!

Sai chalisa

Aalah bhala karega tera
Putra janm ho tere ghar !
Kripa rahegi tumpar meri
Aur tere us balak par !!

Abtak nahi kisi ne paaya
Sai ki kripa ka paar !
Putra ratn de madrasi ko
Dhanya kiya uska sansar !!

Tan man se jo bhaje usika
Jag me hota he uddhar !
Sach ko aanch nahi he koi
Sada zhut ki hoti haar !!

Sai chalisa

Me hu sada sahare uske
Sada rahunga uska daas !
Sai jaisa prabhu mila he
Isni hi kam kya he aas !!

Mera bhi din tha ek aisa
Milti nahi thi muzhe bhi roti !
Tan par kapada dur raha tha
Shesh rahi nanhi si langoti !!

Sarita sanmukh hone par bhi
Me pyasa ka pyasa tha !
Durdin mera mere upar
Davagni barsata tha !!

Sai chalisa

Dharti ke atirikt jag me
Mera kuch avlamb na tha !
Bana bhikhari me duniya me
Dar dar thokar khata tha !!

Aisee meae ek mitra milaa jo
Param bhakt sai kaa thaa !
Janjalo se mukt magar
Is jagati me muzh jaisa tha !!

Sai chalisa

Baba ke darshan ke khatir
Mil dono ne kiya vichar !
Sai jaise daya murti ke
Darshan ko ho gaye taiyar !!

Pavan shirdi nagar me jaakar
Dekhi matvali murat !
Dhanya janm ho gaya ki hamne
Jab dekhi sai ki surat !!

Jabase kiye he darshan hamne
Dukh sara kaaphur hogaya !
Sankat sare mite aur
Vipdao ka ant ho gaya !!

Sai chalisa

Man aur samman mila
Bhiksha me hamko baba se !
Pratibimbit ho uthe jagat me
Ham sai ki aabha se !!

Baba ne samman diya he
Maan diya is jivan me !
Iska hi sambal le me
Hasta jaunga jivan me !!

Sai ki lila ka mere
man par aise asar hua !
Lagta jagti ke kan kan me
Jaise ho vo bhara hua !!

Kashiram baba ka bhakt
Is shirdi me rahata tha !
Me sai ka sai mera
Vo duniya se kahta tha !!

Sai chalisa

Sikar swayam vastra bechata
Graam nagar bajaro me !
Zhankrut uski hriday tantri thi
Sai ki zhankaro se !!

Stabdh nisha thi soye rajani
Aanchal me chand sitare !
Nahi suzhata raha hath ka
Hath timir ke maare !!

Vastra bechkar laut raha tha
Hay hat se kashi !
Vichitra bada sanyog ki us din
Aata tha vo ekaki !!

Gher rah me khade ho gaye
Use kutil annyayi !
Maaro, kato, luto is ki
Hi dhvani padi sunayi !!

Sai chalisa

Lut, pitkar use vahase
Kutil ho gaye champat !
Aaghato se marmahat ho
Usane di sangya kho !!

Sai chalisa


Bahut der tak pada raha wah
Vaha usi halat me !
Jane kab kuch hosh ho utha
Usko kisi palak me !!

Anjane me hi usake mukh se
Nikal padaa thaa sai !
Jiski pratidhvani shirdi me
Baba ko padi sunayi !!

Shubdh utha ho manas unka
Baba gaye vikal ho !
Lagta jaise ghatna sari
Ghati unhi ke sammukh ho !!

Unmaadi se idhar udhar tab
Baba lagee bhatakane !
Sammukh chije jo bhi aayi
Unko lage patakne !!

Sai chalisa

Aur dhadhakte angaro me
Baba ne kar dala !
Huye sashankit sabhi vaha
Dekh tandav nrutya nirala !!

Samajha gayee sab log
Ki koii bhakt padaa sankat mee !
Kshubhit khade the sabhi vaha
Par pade huye vismay me !!

Sai chalisa

Use bachane ki khatir
Baba aaj vikal he !
Uski hi pida se pidit
Unka antahasthal he !!

Itne me hi vidhi ne apni
Vichitrata dikhalayi !
Dekh kar jisko janta ki
Shraddha sarita lahrayi !!

Lekar sangya hin bhakt ko
Gaadi ek vaha aayi !
Sammukh apne dekh bhakt ko
Sai ki aakhe bhar aayi !!

Shant, dhir, gambhir, sidhu sa
Baba ka antahasthal !
Aaj naa jane kyo rah rahkar
ho jata tha chanchal !!

Sai chalisa

Aaj daya ki murti swayam tha
Bana hua upachari !
Aur bhakt ke liye aaj tha
Dev bana pratihari !!

Aaj bhakt ki visham pariksha me
Safal hua tha kashi !
Uske hi darshan ki khatir the
Umde nagar nivasi !!

Sai chalisa

Jab bhi aur jaha bhi koi
Bhakt pade sankat me !
Uski raksha karne baba
Jate he pal bhar me !!

Yug yug ka he satya yah
Nahi koi kahani !
Aapat grasth bhakt jab hota
Jate khud antaryami !!

Bhedbhav se pare pujari
Manavta ke the sai !
Itne pyare hindu - muslim
Utne hi the sikh - esaai !!

Bhedbhav mandir - masjid ka
Tod fod baba ne dala !
Ram - rahim sabhi unke the
Krishna - kareem - allahtala !!

Ghante ki pratidhvani se gunja
Masjid ka kona kona !
Mile parspar hindu - muslim
Pyar badha din din duna !!

Sai chalisa

Chamtkar tha kitna sundar
Parichay is kaya ne di !
Aur neem ke kadwahat me bhi
Mithas baba ne bhar di !!

Aab ko sneh diya sai ne
Sabko santul pyar diya !
Jo kuch jisne bhi chaha
Baba ne usko vahi diya !!

Sai chalisa

Aise snehsheel bhaajan ka
Naam sada jo japa kare !
Parvat jaisa dukh na kyo ho
Pal bhar me vo dur kare !!

Sai jaisa daata hamne
Are nahi dekha koi !
Jiske keval darshan se hi
Sari vipda door gayi !!

Tan me sai man me sai
Sai sai bhaja karo !
Apne tan ki sudhi budhi khokar
Sudhi usi ki kiya karo !!

Sai chalisa

Jab tu apni sudhiya taj kar
Baba ki sudh kiya karega !
Aur rat din baba baba
Baba hi tu rata karega !!

Toh baba ko are vivasha ho
Sudhii terii leni hii hogii !
Teri har iccha baba ko
Puri hi karni hogi !!

Jangal jangal bhatak na pagal
Aur dhundhane baba ko !
Ek jagah keval shirdi me
Tu payega baba ko !!

Sai chalisa

Dhanya jagat me prani he vah
Jisane baba ko paya !
Dukh me sukh me prahar aath ho
Sai ka hi gun gaya !!

Gire sankato ke parvat
Chahe bijali hi tut pade !
Sai ka le naam sada tum
Sammukh sabke raho ade !!

Is budhe ki sun karamat
Tum ho jaoge hairan !
Dang rah gaye sunkar jisko
Jane kitane chatur sujan !!

Ek baar shirdi me sadhu
Dhongi tha koi aaya !
Bholi bhali nagar nivasi
Janta ko tha bharmaya !!

Jadi bootiya unhe dikhakar
Karne laga vaha bhashan !
Kahane laga suno shrotgan
Ghar mera he vrundavan !!

Sai chalisa


Aushadhi mere paas ek he
Aur ajab isme shakti  !
Iske sevan karne se hi
Ho jati dukh se mukti !!

Agar mukt hona chaho
Tum sankat se bimari se !
To he mera namra nivedan
Har nar se har nari se !!

Sai chalisa

Lo kharid tum isko
Iski sevan vidhiya he nyari !
Yadyapi tuccha vastu he yeh
Gun uske he atishay bhari !!

Jo he santati hin yaha yadi
Meri aushadhi ko khaye !
Putra ratn ho prapt are aur
Vo muh maanga phal paye !!

Sai chalisa

Aushadh meri jo na kharide
Jivan bhar pachtayega !
Muzh jaisa prani shayad hi
Are yaha aa payega !!

Duniya do din ka mela he
Mauj shauk tum bhi kar lo !
Agar isase milta he sab kuch
Tum bhi isko lelo !!

Hairani badhati janta ki
Dekh iski karsthani !
Pramudit vah bhi man hi man tha
Dekh ke logo ki nadani !!

Sai chalisa

Khabar sunane baba ko yah
Gaya daudkar sevak ek !
Sunkar bhrukuti tani aur
Vismaran ho gaya sabhi vivek !!

Hukum diyaa seevak ko
Satvar pakad dusht ko lao !
Yaa shirdi ki sima se hi
Kapti ko dur bhagao !!

Sai chalisa

Mere rahate bholi bhali
Shirdi ki janta ko !
Kaun nich aisa jo sahas
Karta he chalne ko !!

Palbhar me hi aise dhongi
Kapti nich lutere ko !
Mahanash ke mahagart me
Pahucha du jivan bhar ko !!

Tanik mila aabhas madari
Krur kutil annyayi ko !
Kal nachata he ab sir par
Gussa aaya sai ko !!

Sai chalisa

Pal bhar me sab khel band kar
Bhaga sir par rakhakar pair !
Soch raha tha man hi man
Bhagwan nahi he kya ab khair !!

Sach he sai jaisa dani
Mil na sakega jag me !
Ansh ish ka sai baba
Unhe na kuch bhi mushkil jag me !!

Sai chalisa

Sneh, shil, saujannya aadi ka
Aabhushan dharan kar !
Badhata is duniya me jo bhi
Manav seva ke path par !!

Vahi jit leta he jagti ke
Jan jan ka antahasthal !
Uski ek udasi hi
Jag ko kar deti he vihal !!

Sai chalisa

Jab jab jag me bhar pap ka
Badh badh ho jata he !
Use mitane ki khatir
Avtari vo aata he !!

Pap aur anyaay sabhi kuch
Is jagati ka har ke !
Dur bhaga deta duniya ke
Danav ko kshan bhar me !!

Sneh sudhaki dhar barsane
Lagti he duniya me !
Gale paraspar milne lagate
Jan jan he aapas me !!

Sai chalisa

Aise hi avtari sai
Mrutyulok me aakar !
Samta ka yeh path padhaya
Sabko apna aap mitakar !!

Naam dwarka masjid ka
Rakha shirdi me sai ne !
Daap, taap, santap mitaya
Jo kuch aaya sai ne !!

Sai chalisa

Sada yaad me mast ram ki
Baithe rahate the sai !
Prahar aath hi ram naam ka
Bhajate rahte the sai !!

Rukhi - sukhi taji - baasi
Chahe ya hove pakvan !
Sada pyar ke bhukhe sai
Ke khatir the sabhi saman !!

Sneh aur shraddha se apne
Jan jo kuch de jate the !
Bade chav se us bhojan ko
Baba pavan karte the !!

Sai chalisa

Kabhi kabhi man bahlane ko
Baba bag me jaate the !
Pramudit man me nirakh prakruti
Chata ko vo hote the !!

Rang birange pushp baag ke
Mand mand hil dul karke !
Bihad virane man me bhi
Sneh salil bhar jaate the !!

Aisi sumadhur bela me bhi
Dukha aapat vipada ke maare !
Apne man ki vyatha sunane
Jan rahte baba ko ghere !!

Sai chalisa

Sunkar jinaki karun katha ko
Nayan kamal bhar aate the !
De vibhuti har vyatha shanti
Unke ur me bhar dete the !!

Jane kya adbhut shakti
Us vibhuti me hoti thi !
Jo dharan karte mastak par
Dukh sara har leti thi !!

Sai chalisa

Dhanya manuj ve sakshat darshan
Jo baba sai ke paaye !
Dhanya kamal kar unke jinase
Charan kamal ve parsaye !!

Kash nirbhay tumko bhi
Sakshat sai mil jaata !
Barso se ujada chaman
Apna fir se aaj khil jaata !!

Sai chalisa

Gar pakadta me charan shri ke
Nahi chodata umra bhar ! 2
Mana leta me jarur unko
Gar ruthate sai muzh par !! 2

Bolo shri sadguru sainath maharaj ki jai



Conclusion:

To dosto aapko kaisi lagi sai chalisa hindi ki ye post. Mujhe comment karake jarur batana.
Is lekh ko pura padhane ke liye dhanyawaad. Aagar yah post sai chalisa hindi aapake liye madadgar hai to ise social medea par share karake dusaro ki madad kare.












Comments

Popular posts from this blog

Sai mantra (Sai kasht nivaran ke 108 dohe)

Shri sai stavan manjari

Bhajans of sai baba