Saibaba stories hindi

Saibaba stories hindi

   
Saibaba stories hindi:  Hello dosto mene saibaba stories ke is post me do kahaniya batayi he. Aapko acchi lagi ya nahi ye comment karke bata sakte ho. 

1. Bhed ki kahani

       Ek din subah baba apane kuch bhakto ke sath baate karte huye lendi baag ki taraf jaa rahe the. Raste me ek gadriya bahut se bhedo ko leke jaa raha tha. Saibaba ne usase ek kale rang ka bhed manga. Aur us aadami ne bhi vo bhed baba se kuch na liye bina hi de diya. Baba ne ek bhakt ko vo bhed unke ghar ke paas jakar rakhane ko kaha. Aur baki bhakto ke sath lendi baag chale gaye.

       Vahase lautane ke baad baba ne bade miya se kaha ki is bhed ko ek hi zhatake me khatm kar do.
Aur unhone unamese ek bhakt ko chura lane ko kaha. Vo bhakt chura mangane ek ghar gaya to unhone chura diya. Lekin jab unhe chura lene ka karan pata chala tab unhone chura vaapas le liya.
To vo bhakt dusari gharo me chura lene gaya. (Saibaba stories hindi)

       Chura lane gaye bhakt ko bahut der ho gayi thi isliye baba ne ek bramhan bhakt ko chura lakar us bhed ko khatam karne ko bola. Us bramhan bhakt ne abhitak chote kide ko bhi nahi mara tha lekin baba ke liye vah bhed ko marane ke liye man gaya. Jab vo bramhan bhakt us bhed ko marane laga tabhi baba ne use roka aur pucha ki aap kyo is bhed ko mar rahe ho? Aap to bramhan ho. Aisa karna aapke liye ghor pap he. To bramhan bhakt ne kaha ki baba aap mere guru he, mere dharm, mere mata - pita he. Aapka shabd mere liye antim he. Aapke liye me marne ko bhi tayyar hu.

       Tabhi sabaki najar bhed ki aur gayi to dekha ki bhed ne khud hi dam tod diya he. Saibaba ne bramhan bhakt ko ek tamrel diya, aur bole ki me islam dharm ke anusar is bhed ko vidhipurvak sadgati deta hu. (Saibaba stories hindi)

Abhipray: 

       Hamesha apne guru ki aaggya ka palan karna chahiye, chahe vo aaggya kaisi bhi ho. Agar aap apane guru ke prati puri nishtha aur samarpan ki bhavana rakhenge to guru aapko hamesha sahi marg dikhayenge. Vo aapka ahit kabhi nahi hone denge.

Saibaba stories hindi


2. Aam ka chamatkar

       Ek samay Ahmednagar shahar me damu anna naam ke ek sajjan rahate the. Ve apane pariwar ke sath rahate huye bhi khush nahi the. Iski vajah unki shadi ko 10 saal ho gaye the lekin fir bhi unhe koi santan nahi thi.

       Unhone apne patni ke sath santan ki chah me tamam mandiro me pooja ki, dargao me gaye, sadhu santo ki seva ki, garibo ko kapada, fal, anaj aur paisa daan kiya. Fir bhi dono dukhi the. Unhone jyotishi ko apani aur apane patni ki janam patrika dikhayi aur bole ki hamare bhagya me santan sukh he ya nahi ye batayiye. Tab jyotishi ne patrika dekhi aur bataya ki tumhare bhagya me santan ka yog hi nahi he. (Saibaba stories hindi)

       Usi vakt vaha shirdi me jab baba apane bhakto ke bich baithe the tabhi unka ek bhakt  ek aam ki katori lekar aaya. Aur kaha ki goa se mamaleda ranadi ji ne ye aam aapke liye bheje he. Tab baba ne kaha itane sare aam? Me kya karunga itane aamo ka? Lejao inhe yahase. To us bhakt ne unmese char aam kolamba me dal diye.

       Bhojan lete samay ek bhakt ki najar kolamba me pade char aamo par gayi, to vo ek aam lene ke liye gaya. Tabhi baba bole ki nahi ruko, un aamo ko hath mat lagao. Vo damu anna rasane ke liye he. Kuch din bad damu anna saibaba ke paas aaye aur kaha ki baba me santan ke liye taras gaya hu, sab jagah nirasha hi hath lagi he. Ab aap hi mera aakhari sahara ho. Mujhapar kripa kijiye. Saibaba bole beta us kolamba se aam uthalo aur apani patni ko dedo. (Saibaba stories hindi)

       Damu anna bole ki baba meri do patniya he to me ye aam kise du. Saibaba bole dusari patni ko do use char bete aur char betiya hogi. To damu anna chauk gaye aur baba se bole ki ye kaise ho sakata he. Baba bole tumpar ishwar ki kripa hogi. Bahut bada pariwar hoga tumhara. Jao jaisa kaha he vaisa karo.  Damu anna aam lekar apane ghar gaye. Vo aam dusari patni ko khilaye. Jaisa ki baba ne kaha t  ha damu anna ki patni ko char ladake aur char ladkiya  huyi.

       Damu anna apani dono patniyo aur aatho baccho ke sath saibaba ke darshan ke liye gaye. Unhone baba se dhanyawad bola aur apane pariwar ke liye ashirwad manga. Baba bole tumhara aur tumhare pariwar ka kalyan ho, sada bhagwan par bharosa rakho. Vo har sankat me tumhari sahayata karega. (Saibaba stories hindi)

Abhipray:

      Guru ki kripa aashirwad se bhakto ka jeevan faldayi hota he. Aur guru ka aashirwad kisi bhi viggyan ya jyotish shastra se badhkar hota he.

Conclusion:

       To dosto aapko kaisi lagi saibaba stories ki ye story mujhe comment karake jarur batana. Is lekh ko pura padhane ke liye dhanyawaad. Aagar yah post saibaba stories aapake liye madadgar hai to ise social media par share karake dusaro ki madad kare.




Comments

Popular posts from this blog

Sai mantra (Sai kasht nivaran ke 108 dohe)

Shri sai stavan manjari

Bhajans of sai baba