Saibaba stories

Saibaba stories

Saibaba stories: Saibaba stories ke is post me aapko mene teen kathaye batayi he, acchese padhana aur kuch na kuch updesh avashya lena

Do chipkaliyo ka milan (Saibaba stories)


Ek bar saibaba masjid me baithe the aur usi samay ek chipkali chik - chik karne lagi. Kautuhal vash ek bhakt ne baba se pucha ki "chipkali ke chik - chikane ka kya koi vishesh arth he?" Baba ne kaha ki " is chipkali ki bahan aaj aurangabad se yaha aane vali he. Isliye yeh prasannata se fuli nahi sama rahi he".  Vah bhakt baba ke shabd naa samaj saka. Isliye vah chup - chap baitha raha.


Usi samay aurangabad se ek aadmi ghodepar baba ke darshan ke liye aaya. Vah aur aage jana chahata tha, parantu ghoda adhik bhukha hone ke karan aage badhata hi nahi tha. Tab usane chana lane ko ek thaili nikali aur dhul zhatkarane ke liye use bhumi par patka. Usme se ek chipkali nikali aur sab ke dekhate - dekhate hi vah diwar par chadh gayi. Baba ne prashn puchane vale bhakt se dhyanpurvak dekhane ko kaha. Chipkali turant hi garv se apne bahan se mili aur khushi se charo aur ghum - ghum kar nachane lagi.

 Kaha Shirdi aur kaha Aurangabad? Kis prakar ek aadmi ghode par savar hokar, thaili me chipkali ko liye vaha pahuchata he aur baba ko un dono bahano ki bhet ka pata chal jaata he. Yah sab ghatana bahut aacharyajanak he aur baba ki sarvavyapakata ko dyotak he. (Saibaba stories)

Bhojan se sabhi praniyo ka hissa (Saibaba stories)


Shirdi me log shuru me saibaba ko pagal samjhate the, lekin dhire - dhire unki shakti aur guno ko janane ke baad bhakto ki sankhya badhati gayi. Saibaba shirdi ke keval panch parivaro se roj din me do baar bhiksha mangate the.

Ve tin ke bartan me taral padarth aur kandhe par tange huye kapade ki zholi me roti aur thos padarth ikattha kiya karte the. Sabhi samagriyo ko ve dwarikamai lakar mitti ke bade bartan me milakar rakh dete the. Kutte, billiya, chidiya nisankoch aakar us khane ka kuch ansh kha lete the. Bachi hui bhiksha ko saibaba bhakto ke sath mil baat kar khate the. (Saibaba stories)

Kutte ka nahi sai ka anadar (Saibaba stories)

Ek bar sai ke ek bhakt ne saibaba ko bhojan ke liye ghar par bulaya. Nicchit samay se purv hi saibaba kutte ka rup dharan karke bhakt ke ghar pahuch gaye. Sai ke bhakt ne anjane me chulhe me jalti hui lakadi se kutte ko markar bhaga diya.

Jab saibaba nahi aaye to unka bhakt masjid me jaa pahucha. Saibaba muskuraye aur kaha, me to tumhare ghar bhojan ke liye aaya tha lekin tumne jalati hui lakadi se markar muzhe bhaga diya. Sai ka bhakt apni bhul par pachatane laga aur mafi mangi. Saibaba ne snehpurvak uski bhul ko kshama kar diya. (Saibaba stories)


Conclusion:

To dosto aapko kaisi lagi saibaba stories ki ye story mujhe comment karake jarur batana.
Is lekh ko pura padhane ke liye dhanyawaad. Aagar yah post saibaba stories aapake liye madadgar hai to ise social medea par share karake dusaro ki madad kare.


Comments

Popular posts from this blog

Sai mantra (Sai kasht nivaran ke 108 dohe)

Shri sai stavan manjari

Bhajans of sai baba